Jumuah ke 4 Aham Aamaal jo Har Musalman ko Karne Chahiye

Rate this post
Aaj Jumuah ka din hai – Jumuah ke 4 aham aamaal in Islam, Surah Kahf, durood sharif aur zikr

Jumuah ke din Durood Sharif padhna bahut zyada fazilat rakhta hai.
Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke Jumuah ke din tumhara durood mujh tak pesh kiya jata hai.
👉 Jo shakhs Jumuah ke din kasrat se durood padhta hai:
Uske gunah maaf hote hain
Uske darajat buland kiye jate hain
Nabi ﷺ se qurbat naseeb hoti hai
Is din jitna ho sake, dil se durood sharif padhein.

Jumuah ke din Surah Kahf ki tilawat karna bahut barkat wala amal hai.

Hadees ke mutabiq:Jo shakhs Jumuah ke din Surah Kahf padhta hai Uske liye do Jumuah ke darmiyan ek noor paida kar diya jata hai Aur Dajjal ke fitne se hifazat hoti hai Behtar hai ke poori Surah Kahf padhi jaye, warna kam az kam jitni ho sake utni tilawat karein.

7 martaba Surah Ikhlas

7 martaba Surah Falaq

7 martaba Surah Naas padhein.

Is amal se:Har qism ke shar se hifazat hoti hai

Nazar, jadoo aur buri cheezon se bachao hota hai

Poore hafte Allah ki panah me rehne ki umeed hoti hai

Jumuah ka din sirf namaz tak mehdood nahi, balki yeh din: Zikr ka din hai Durood ka din hai, Dua ki qubooliyat ka din hai, Agar hum har Jumuah in aamaal ka ehtimam kar lein, to hamari zindagi me barkat aur sukoon aa sakta hai.

Leave a Comment